|
 |
II
Santoshi Mata Vrat
Katha II

Santoshi Mata Vrat
Katha
Ek budhiya thi aur
uskey saat betey
the. 6 kamaney valey
the ek nikamma tha.
Budhiya maa chhaon
putron ko rasoi bana
khilati thi aur
peechhe jo kuchh
bachta tha so
saatvein ko dey deti
thi. Parantu voh
bada bhola-bhala tha,
man mein kuchh
vichar na karta. Ek
din voh apni bahu se
bola—" Dekho! Meri
mata ko mujh par
kitna prem hai!" Voh
boli—"Kyon nahin,
sabhka bacha tumko
khilati hai." Voh
bola "Bhala aisaa
bhi kahin ho sakta
hai? Jab tak main
ankhon se na dekhoon,
maan nahin sakta."
Bahu ney hanskar
kaha- "Dekh logey
tab to maanogey?"
Kuchh din baad bada
tyohaar aaya, ghar
mein saat prakar ke
bhojan aur choorma
ke laddoo baney. Voh
jaanchney ko sir
dukhney ka bahana
kar patla vastra sir
par odhkar rasoi
ghar mein layt gaya
aur kapde mein se
sab dekhta raha.
Chhahon bhai bhojan
karnein aaye, usney
dekha maa ne unke
liye sundar-sundar
aasan bichhaye hain,
saat prakar ki rasoi
parosi hai. Voh
aagrah karke jimati
hai. Voh dekhta raha.
Chhahon bhai bhojan
karke uthey tab maa
ne unki jhoothi
thaaliyon mein se
laddooon ke tukde
uthhaye aur laddoo
banaya jhoothan saaf
kar budhiya maa ne
ussey pukara- Utth
beta! Chhahon bhai
bhojan kar gaye, ab
tu hi baki hai utth
na! Kab khayega? Voh
kahney laga "Maa!Mujhey
bhojan nahin karna>
Main pardes ja raha
hoon." Mata ne kaha,
"Kal jata ho to aaj
chala jaa." Voh bola
" Haan, haan! Aaj hi
jaa rahaa hoon" Yeh
kahkar voh ghar se
nikal gaya. Chaltey
samay bahu ki yaad
aayi. Voh gaushala
mein karaadey thaap
rahi thi, jaakar
bola—
Doha-Hum jaavein
pardes ko aaveyngey
kuchh kaal. Tum
rahiyo santosh se,
dharam apna paal.
Voh boli—"Jaao piya
aanand se hamro soch
hataaye. Ram bharose
hum rahein, Ishwar
tumhein sahai.Do
nishani aapni dekh
dharoon main dheer,
sudhi mat hamri
bisaariyo raakhiyo
man gambhir.
Voh bola "merey pass
to kuchh nahin, yeh
angoothi hai so ley
aur apni kuchh
nishani mujhey dey."
Voh boli, "Merey
pass kya hai? Yeh
gobar bhara haath
hai". Yeh kah uski
peetth mein gobar ke
haath ki chhaap maar
di. Voh chal diya.
Chaltey-chaltey door
desh mein pahuncha
vahan ek sahukar ki
dukaan thi.. Vahan
jaakar kehney laga-
"Bhai mujhe naukar
rakh lo. Vyapaari ki
zaroorat thi, bola
"rah ja". Ladkey ne
poochha- "vetan kya
dogey?" Sahukar ne
kaha "Kaam dekhkar
daam milengey."
Sahukar ki naukri
mili.Voh saverey ke
7 bajey sey 2 bajey
tak naukri bajaney
laga. Thorey hi din
mein dukaan ka
layn-dayn,
hisaab-kitaab,
grahkon ko maal
bechna saara kaam
karney lagaa.
sahukar ke 7/8
naukar the , veh
sabh chakkar khaney
lagey. Yeh to bahut
hoshiyaar ban gaya.
Seth ne bhi kaam
dekha aur teen
mahiney mein usey
aadhey munaafey ka
hisseydaar banaa
liya. Barah varsh
mein naami seth ban
gaya aur maalik
saara karobaar uspar
chhod baahar chala
gaya. Ab bahu par
kya beeti, suno!
Saas sasur usey
bahut dukh deney
lagey. Saari
grahasti ka saara
kaam karaa karkey
usey lakdi leney
jangal bhejtey. Is
beech ghar ki
rotiyon ke aatey se
jo bhoosi nikalti
uski roti banaakar
rakh di jaati thi
aur phootey naariyal
ki naarli mein paani.
Is prakaar din
guzartey rahey. Ek
din voh lakdi leney
jaa rahi thi ki
raastey mein bahut
is streeyan Santoshi
mata ka vrat kar
rahi thi. Vahaan voh
khari ho gayi, katha
sunney lagi, phir
poochney lagi—"Behanon,
yeh tum kis devta ka
vrat karti ho aur
isey karney se kya
phal milta hai? Is
vrat ke karney ki
kya vidhi hai? Yadi
tum is vrat ka
vidhaan mujhey
samjhakar kahogi to
main tumhara upkar
maanoongi." Tab
unmein se ek stree
boli—"Suno,yeh
Santoshi mata ka
vrat hai, Issey
nirdhantaa,daridrata
ka naash hotaa
hai.Lakshmi aati hai.
Man ki chintaaon ka
bhaar door hota hai.
Ghar mein sukh
honein sey man ko
prasannata aur
shanti milti hai.
Niputri ko putr
miley. Swami baahar
gaya ho to shighra
aavein. Kunwari
kanya ko man chaaha
var miley. Rajdwaar
mein bahut dinon se
mukadama chalta ho
to nipat jaavey,
kalah-kalesh ki
nivritti ho, sukh
shanti aavey, ghar
mein dhan jamaa ho,
paisa-jaidaad ka
labh ho, rog door ho
jaavey tatha aur bhi
jo kuchh bhi man
mein kaamna hovey
sab is Santoshi mata
ki kripa se poori ho
javein, is mein
sandeh nahin hai."
Voh poochhney lagi-
"Yeh vrat kaisey
kiya jaai, yeh bhi
bataao to badi kripa
hogi." Voh stree
kehney lagi-"Savaa
aaney ka gur-channa
leyna. Ichha ho to
savaa paanch aaney
ka leyna yaa savaa
rupiye ka bhi
sahuliyat ke anusaar
leyna, binaa
pareshaani shraddha
aur prem se jitna
bhi ban sakey,
savaayaa leyna.
Savaa paise se savaa
paanch aaney tatha
issey bhi zyaada
shakti aur bhakti
anusaar leyna..
Pratyek shukravaar
ko niraahaar reh
katha kehna-sunnaa.
Iske beech kram
tootey nahin,
lagaataar niyam
paalan karna.
sunneyvala koyi na
miley to ghee ka
deepak jalaa uskey
aagey yaa jal ke
paatr ko saamney
rakh katha kehna
parantu niyam na
tootey, Jab tak
kaatya siddh na ho
niyam paalan karna
aur kaarya siddh ho
jaaney par vrat ka
udyaapan karna. Teen
maas mein mata phal
poora karti hai---is
mein yadi kisi ke
grah khotey hon, to
bhi mata varsh mein
ashvay kaarya ko
siddh karti hai.
Phal siddh honein
par hi udyaapan
karnaa chaahiye,
beech mein nahin.
Udyaapan mein
adhaayi ser aata ka
khaja tatha isi
parimaan se kheer
tatha channey ka
saag karna. Aatth
ladkon ko is mein
bhojan karaaana.
Jahan tak miley
devar, jeth,
bhai-bandhu, kutumb
ke ladkey leyna, na
miley to
rishteydaaron aur
padosion ke ladkey
bulaanaa. Unhen
bhojan karaakar
yathashakti dakshina
deykar mata ka niyam
poora karna.Us din
ghar mein khataayi
koyi na khavey. Yeh
sun budhiya ke
ladkey ki bahu chal
di. Raastey mein
lakdi ke bojh ko
beych diya aur un
paison se gur-channa
ley mata ke vrat ki
tayyaari ki, aagey
chali aur mandir
dekh poochhney lagi—"Yeh
mandir kiska hai?"
Sabh kehney lagey—"Santoshi
mata ka mandir hai."
Yeh sun mata ke
mandir mein jaa mata
ke charnon mein
laytnein lagi. Deen
ho vinati karney
lagi---"Maa, main
nipat agyani hoon.
Vrat ke niyam kuchh
jaanti nahin. Main
bahut dukhi hoon.
Hey Maata! Jagjanini,
mera dukh door kar,
main teri sharan
mein hoon." Mata ko
daya aayi-ek
shukravaar beeta ke
doosrey shukravaar
kohi uskey pati ka
patr aaya aur
teesrey ko uska
bheyja hua paisa aa
pahuncha. Yeh dekh
jeth-jethani moonh
sikurney lagey,
itney dinon mein
itna paisa aaya,
ismein kya baat hai?
Ladkey taanein
deynein lagey----rupiya
aanein lagaa--- ab
to kaki ki khaatir
badheygi—bhaiyya!
patr aavey rupiya
aavey to hum sab
keliye achha hai.
Aisa kehkar aankhon
mein aansoo bharkar
Santoshi mata ke
mandir mein aa
Mateshwari ke
charnon mein girkar
roney lagi—"Maa!
mainey tumse paisa
kab maanga hai?
Mujhey paise se kya
kaam hai? Mujhey to
apney suhaag se kaam
hai.Main to apney
swami ke darshan aur
seva maangti hoon."
Tab Mataji nein
prasanna hokar kahaa,
"Ja, beti! Tera
swami aayega." Yeh
sun khushi se ghar
mein jaakar kaam
karney lagi. Ab
Santoshi Maa vichar
karney lagi---"Is
bholi putri se
mainein keh to diya.
Par pati aaveyga
kahan se?Voh to isey
swapna mein bhi yaad
nahin karta! Isey
yaad dilaney ko
mujhey jaana pareyga.
Is tarah Mataji us
budhiya ke betey ke
paas jaa swapn mein
prakat ho kehne lagi
"Sahukaar ke bete!
So raha hai yaa
jaagtaa hai?" Voh
kehta hai –"Mata!
sotaa bhi nahin hoon,
aur jaagtaa bhi
nahin hoon. Kaho kya
aagya hai ?" Maa
kehney lagi—" Tera
ghar-baar kuchh hai
yaa nahin?" Voh
bola—"Mera sab kuchh
hai Mata! Maa-baap,
bahu hai, kya kamee
hai?" Maa boli—"Bholey
putr! Teri patni
ghor kasht uttha
rahi hai, tery
maa-baap usey bahut
traas dey rahey hain.
Tu uski sudhi ley"
Voh boley—"Haan,
Mataji! Yeh to
mujhey maaloom hai
parantu jaaoon
kaisey? Pardes ki
baat, leyn-deyn ka
koi hisaab nahin,
koi jaaney ka
raastaa nazar nahin
aata." Maa kehney
lagi—"Meri baat maan
saverey nahaa-dho
kar Santoshi mata ka
naam ley, ghee ka
deepak jalaa,
dandvat kar dukaan
par jaa baith!
Dekhtey-dekhtey,
tera leyn-deyn chuk
jaayega. Jamaa maal
bik jayega. Saanjh
hotey-hotey dhan ka
dher lag jaayega. "
Ab to voh saverey
bahut jaldi utth
bhai-bandhuon se
apney sapney ki baat
kehta hai. Voh sabh
kehnein lagey kahin
sapney bhi sach
hotey hain? Ek budha
bola—“Meri baat maan,
is tarah saanch
jhooth karney ke
badley devtaa ney
jaisa kaha hai vaisa
karney mein jaata
kya hai? Ab budhey
ki baat maan,
nahaa-dhokar
Santoshi Mata ko
dandvat kar, ghee ka
deepak jalaa, dukaan
par jaa baithta
hai.Thodi der mein
kya dekhta hai ki
denevale rupiya
laane lagey ,
lenevaley hisaab
leney lagey. Kothey
mein bharey
saamaanon ke
kharidar nakad daam
de souda karney
lagey. Shyam tak
dhan ka dher lag
gaya. Man mein Mata
ka naam ley
chamatkar dekh
prasanna ho ghar ley
jaaney ke vaastey
gehna, kapda,
saamaan khareedney
laga. Yahan ke kaam
se nipat turant ghar
ko ravaanaa hua.
Vahan bahu bechaari
jangal mein lakdi
leney jaati hai,
laut-tey vakt Mataji
ke mandir par
vishraam karti hai.
Voh to uska roz ka
rukney ka sthaan
thehra.Door dhool
udti dekh voh Mataji
se poochhti hai---Hey
Mata! Yeh dhool
kaisi ud rahi hai?"
Maa kehti hai—" Hey
putri! Tera pati aa
rahaa hai ab tu aisa
kar lakdiyon ke3
bojh banaa ek nadi
kinarey rakh doosra
mere mandir mein aur
teesra apney sar
par. Tere pati ko
lakdi ka gattha dekh
kar moh paida hoga-
voh yahaan rukeyga,
naashta paani bana
khaakar maa se
milney jayega, tab
tu lakdiyon ka bojh
utthakar jaanaa aur
beech chowk mein
gattha daalkar teen
aavaazein zor se
lagaana—"Lo, sasuji!
Lakdiyon ka gattha
lo, bhoosi ki roti
do, nariyal ke
khopde mein paani
do! Aaj kaun mehmaan
aaya hai? Maa ki
baat sun, bahu "Bahut
achha, mataji"
kehkar prasanna man
ho lakdiyon ke teen
gatthey le aayi. Ek
nadi tat par, ek
mataji ke mandir
rakha itney mein ek
musafir aa pahuncha.
Sookhi lakdi dekh
uski ichha hui ki ab
yahan nivas karein
aur bhojan banaa,
vishraam le voh gaon
ko gaya. Sabhse prem
se mila. Usi samay
bahu sir par lakdi
ka gattha liye aati
hai. Lakdi ka bhaari
bojh aangan mein
daal zor se aavaaz
deti hai---" Lo,
sasuji! Lakdi ka
gattha lo, bhoosi ki
roti do, nariyal ke
khopde mein paani
do. Aaj kaun aaya
hai?" Yeh sun uski
saas apney diye huey
kashton ko bhulanein
hetu kehti hai---"Bahu!
Aisa kyoon kehti ho?
Tera maalik aayaa
hai. Aa baith meetha
bhaat khaa bhojan
kar kapde, gehney
pehen!" Itney mein
aavaaz sunkar uska
swami baahar aataa
hai aur angootthi
dekh vyakul ho jataa
hai. Maa se poochhta
hai—"Maa, yeh kaon
hai?" Maa kehti hai
, "Beta, yeh teri
bahu hai. Aaj 12
varsh ho gaye, tu
jab se gayaa hai tab
se saarey gaon mein
jaanvar ki tarah
bhatakti phirti hai.
Kaam kaaj ghar ka
kuchh karti nahin,
chaar samay aakar
khaa jaati hai .
tujhe dekhkar bhoosi
ki roti aur nariyal
ke khopde mein paani
maangti hai. Voh
lajjit ho bola---"Theek
hai maa! Main ney
usey bhi dekha hai
aur tumhein bhi
dekha hai. Ab mujhe
doosrey ghar ki
taali do to usmey
rahoon." Tab maa
boli "Theek hai
beta! Teri jaisi
marzi ho kar." Yeh
kah taali ka guchha
patak diya. Usney
leykar doosrey
makaan mein, teesri
manzil ke ooper ka
kamra khol saara
saamaan jamaaya. Ek
hi din mein vahan
raja ke mahal jaisa
thaat-baat ban gaya.
Ab kya hai? Bahu
sukh bhogney lagi.
Itney mein agla
Shukravaar aaya.
Usney apne pati se
kaha-"Mujhey
Santoshi mata ke
vrat ka udyapan
karna hai." Uska
pati bola –" Bahut
achha! Kar, khushi
se karley" Turant hi
voh udyapan ki
taiyyari karney
lagee. Jeth ke
ladkon ko bhojan ke
liye kahney gayi.
Usney manzoor kiya,
parantu peechhey
jethaani apney
bachon ko sikhaati
hai- "Dekho re!
Bhojan ke samay sabh
log khatai maangna
jissey uska udyapan
poora na ho sakey."
Ladkey jeemney aaye,
kheer bhar pet khayi.
Parantu baat yaad
aatey hee kahney
lagey –"Hamey kuchh
khataayi do, kheer
khana hummey bhata
nahin. Dekhkar
aruchi hoti hai."
Bahu kahney lagi –"
Khataayi kisi ko
nahin dee jaayegi.
Yeh to Santoshi Mata
ka prasad hai."
Ladkey utth kharey
huey, boley-" Paisa
laao." Bholi bahu
kuchh jaanti nahin
thi, unhe paisey dey
diye. Ladkey ussi
samay hatth karkey
imli laa khaney
lagey. Yeh dekh bahu
par Mataji ney kope
kiya. Raja ke doot
uskey pati ko pakad
kar ley gaye. Jeth
jethani manmaaney
khotey vachan kehney
lagey-"Sada
loot=loot kar dhan
ikattha kar laya,
raja ke doot
pakadkar ley gaye.
Ab sabh maaloom par
jayega, jab jail ki
maar khaayega." Bahu
se yeh vachan nahin
suney gaye.
Roti-roti Mataji ke
mandir ko gayi.
Kahney lagi – "Mataji!
Tumney yeh kya kiya?
Hansakar ab kyoon
rulaney lagi?" Mata
boli –" Putri,
tooney udyapan
karkey mera vrat
bhang kiya hai. Itni
jaldi sabh baatein
bhuladi?" Voh
kehnein lagi –"
Mata, bhooli to
nahin, na kuchh
apraadh kiya hai.
Mujhe to ladkon nein
bhool mein daal diya.
Mainey bhool se hi
unhein paisey dey
diye—mujhey kshama
karo Maa!" Maa boli
–" Aisi bhi bhool
hoti hai?" Voh boli-
"Maa mujhey maaf
kardo main phir
tumhara udyapan
karoongi." Maa boli-
"Ab bhool na karna."
Voh kehti hai –"Ab
bhool na hogi Maa!
Ab batavo veh kaisey
aaveingey?" Maa boli-
"Jaa putri, tera
maalik tujhey
raastey mein hi
aataa mileyga." Voh
nikli raah mein pati
aata milaa. Voh
poochhti hai-"Tum
gaye kahan they?"
Tab voh kehney laga
–"Itna dhan jo
kamaya hai uska tax
raja ney maanga tha,
voh bharney gaya tha."
Voh prassanna ho
boli –"Bhala hua, ab
ghar ko chalo." Ghar
ko gaye , kuchh hi
dinon baad phir
Shukravaar aaya, voh
boli-" Mujhe phir
Mataji ka udyapan
karna hai." Pati
nein kaha "Karo."
Voh phir jeth ke
ladkon ko bhojan ko
kehney gayi. Jethani
nein ek do baat
sunayi aur sabh
ladkon ko sikhaney
lagi –"Tum sabh log
pehley hi hkattayi
maangna." Ladkey
kehnein
lagey-"Humein kheer
khana nahin bhaata,
jee bigarta hai,
kuchh khattayi
khaney ko do."Voh
boli- "Khattayi
khaney ko nahin
mileygi, khana ho to
khao." voh brahmanon
ke ladkey laakar
bhojan karaney lagi.
Yatha-shakti
dakshina ki jagah
ek-ek phal unhein
diya. Ismein
Santoshi mata
prasanna hui. Mata
ki kripa hotey hi
navein maas usko
chandrama ke samaan
sundar putr prapt
hua. Putr ko leykar
pratidin Maata ke
mandir ko jaaney
lagi. Maa nein socha-
"Yeh roz aati hai,
aaj main kyon na
iskey ghar chaloon
iska aasra dekhoon
to sahi." Yeh
vichaar kar Mata
nein bhayaanak roop
banaaya. Gur channey
sey sana mukh ooper
sey soond key samaan
honth, uspar
makhhiyan bhin-bhina
rahee hain. Dehli
par paon rakhtey hi
uski saas chillaayi-
"Dekho re! Koi
churail daayin chali
aa rahee hai. Ladko
isey bhagao, nahin
to kisi ko khaa
jaayegi." Ladkey
darrney lagey aur
chillaakar
khidkiyaan bund
karney lagey.Bahu ek
roshandaan mein se
dekh rahi thi.
Prasannata se pagli
ho chillaney lagi -"Aaj
meri Mataji merey
ghar aayi hai." Yeh
keh bacchey ko doodh
peeney se hataati
hai. Itnein mein to
saas ka krodh phoot
paraa.
Boli-"Raand!Dekhkar
kyoon utaavli hui
hai? Bacchey ko
patak diya. Itnein
mein Maa ke prataap
sey jahan dekho
vahaan ladkey hi
ladkey nazar aaney
lagey. Voh boli -"Maa,
main jiska vrat
karti hoon yeh vahi
Santoshi mata hai."
Itna kehkar jhatsey
saarey ghar key
kivar khol deti hai.
Sabhney Mataji ke
charan pakad liye
aur vinti karney
lagey -"Hey Mata!
Hum moorakh hain,
paapi hain,
tumhaarey vrat ki
vidhi hum nahin
jaantey,tumhara vrat
bhang kar humnein
bahut apraadh kiya
hai. Hey Jagatmata!
Hamara apraadh
kshama karo." Is
prakar Mata prasanna
hui. Bahu ko jaisa
phal diya vaisa Mata
sabh ko dey. Jo
padhey uskey
manorath poorna hon.
Santoshi Mata Aarti
Back
|

|