|
 |
II
Santoshi Mata Vrat II

Vrat ki vidhi-vidhan
:
Santoshi mata ke
pita Ganesh, mata
Ridhhi Sidhhi
dhan-dhaanya, sona,
chandi, moti,
moongon ratnon se
bhara
parivar;Ganpati pita
ki dulaar bhari,
Ganpatidev ki
kamaayi, dhandhey
barkat, daridrata
door, kalah-kalesh
ka naash,
sukh-shanti prakash,
balakon ki
phulwari,dhandhey
mein munafey ki
bhari kamaayi, man
ki kaamna puran,shok,
vipatti, chinta sabh
choorn, Santoshi
mata ka key naam,
jissey ban jaaye
saarey kaam, bolo
jai Santoshi Mata ki.
Is vrat ko karney
wala katha kahtey
sunntey samay haath
mein gur aur bhuney
huey
channey rakhey.
sunneywale "Santoshi
Mata ki jai", "Santoshi
Mata ki jai", is
prakaarjai-jaikaar
mukh sey boltey
jayein. Katha
samaapt honey par
haath ka gur channa
gau-mata ko
khilavein. Kalash
mein rakha hua gur
channa sabhko prasad
ke roop mein baant
dein.
Katha ke poorva
kalash ko jal se
bharein, uske ooper
gur channey se bhari
katori rakhein.
Katha evam aarti
samaapt honey ke
baad kalash ke jal
ko ghar mein sabhi
jagah chhirkein aur
bacha hua jal tulsi
ki kyari mein daal
dein. Sava aanein ka
gur-channa lekar
mata ka vrat karein.
Savaa paise ko lein
to bhi koi aapati
nahin. Gur agar ghar
mein ho to usey
levein, vichar na
karein kyonki mata
bhavna ki bhookhi
hai, kam zyada ka
koi vichar nahin.
Isliye jitna ban
parey prasad arpan
kar shraddha aur
prem se prassan man
ho vrat karna
chahiye.Vrat ke
udyapan mein dhai
ser khaja, momandar
poori, kheer,
channey ka shaag,
naivedya rakhein,
ghee ka deepak
jalaakar Santoshi
mata ki jai-jaikar
bolein, nariyal
phorein. Is din ghar
mein khataayi na
dalein, aur na aap
khavein aur na kissi
doosrey ko khaney
dein. Is din aath
larkon ka bhojan
karavein. Devar,
jeth, ghar kutumb ka
milta ho to doosrey
ko bulana nahin.
Agar kutumb mein na
miley to brahmanon
ke, rishteydaaron ke
yaa padosion ke
larkon ko bulavein.
Unhein khatayi ki
koi vastu na devein
tatha bhojan kara
yatha shakti
dakshina devein.
Nakad paisa na dein
koi vastu dakshina
mein dein. Vrat
karney wala katha
sunkar prasad lein,
ek samay bhojan
karein. Is prakar se
Mata atyant prasanna
hogi, dukh daridra
door hokar manokamna
poori hogi.
Next

|

|